NAZM
Sach
Yeh Tulsi kaisi shan’t hai
Aur Kashmir ki jheele’n
Kis kis tarah uthal-puthal ho jati hain
Aur Allah!
Mai’n!
NARM ANDHERA
Dil ko kaise samjhayen ki ra’t guarzarne wali hai
Bas ra’t ki ba’t hi sari hai aur ra’t guzarne wali hai
Ukje di ke beganon’n mein
Dil bhatka-bhatka rahta hai
Chundhiane wali raushni jab
Is sha’m ko bhi sawla degi
Dhundhke ankh churaye jab
Tab ra’t ka narm andhera bhi
Ik aas sanbhal ke baithega
Lautega dil jo thaka hara
Waise hi akela bechara
Is ek akele dil ko ham phir kaise-kaise bahlayen
Ki ra’t ki baat hi sari hai
Aur ra’t guzarne wali hai
Bas ra’t guzarne wali hai
GHAZAL
Tukde- tukde din beeta, dhajji- dhajji daat mili
Jiska jitna aanchal tha utni hi saugat mili
Rimjhim-rimjhim boondon mein, zahar bhi hai, amrit bhi,
Ankhen hansdi, dil roya, yeh acchi barasaat mili
Jab chaha dil ko samjhe, hasane ki awaz suni
Jaise koi kahta ho, le phir ujhko maat mili.
Maate’n kaisi ghate kya, chalt’e rahna aath pahar
Dil-sa sathi jab paya, bechaini bhi sath mili
Honton tak aate aate, jane kitne’e roop bhare
Jalti-bujhti ankhon mein, saada si jo baat mili
You can listen to Meena Kumari recite this poem in her own voice in this videoAAKHRI KHWAISH
Ye dil ke dharakn ki a'waz – yeh san'nata
Yeh ra't, yeh tanhai
Yeh doobte taro'n ki
Khamosh ghazal khani
Yeh waqt ki palkon par
Soti hui veerani.
Jazbat-e-muhabbat ki
Yeh a'khri angrai
Bajti hui har janib
Yeh maut ki shehnai
Sab tumko bulate hain
Pal bhar ko tum aa jao
Band hoti hui meri a'nkhon mein
Muhabbat ka ek khwab saja jao.
You can read more of her poems in Meena Kumari the Poet: A Life Beyond Cinema by Noorul Hasan
You can read more about her in Meena Kumari: The Classic Biography by Vinod Mehta