Agents of Ishq Loading...

Anarkali: a poem by Pragya

Anarkali aisi ki Salim chunwa de apne aap ko

Mujhse pyaar karna

Ek bade, juicy anar

Ko beech se cheer kar

Khaane jaisa hai

Bhulaoge hame kaise?

Bhulaoge hame kaise?

Tumhare haatho ko rang jayenge

Tumhare daato ke beech phas jayenge

Tumhari yaade rahengi lal

Tumhara dil rahega behaal

Deewaro mein mujhe chunwa de

Tere Auzaron ki nahi aukaat

Ek nazar se aapki sultanat gira de

Iss Anarkali mein hai ye baat

Iss Anarkali mein hai ye baat

 Pragya is a London based writer, poet and marketer.

Score: 0/
Follow us: